Friday, 14 April 2017

Jiski apekshaa hai Hindi

Jiski apekshaa hai


Jiski apekshaa hai
Agar wah aa jati
Samaya ki aahat ke saath kadam milaakar...
Sirf apnaane se
Agar samaa jati chhati me sari duniyaa..
Aur soch lene se hi
Muhan chhipaane ke lie
Andheron me jagah bahut hoti..
Aur ham ghasite na jate
Hlat ke bhare chaurahe par..
To priya
Main likhata
Aao ham fir se jien
Aur gaaen mil kar
Jindagi ka apur tarana..
Main laut ke aa raha hun bas
Mere lie intejar karanaa..

Ham kyon magarur hain Monalisa..
Apne nadaniyon me magarur ho kar..
Kyon lag jate hain
Hamare saamarthua par
Sansaya ke padachinha..
Anchahe bhi
Ham chalte jate hain
Aparadh ka bojh dhote hue
Anischit abadhi ke liye
Ek Khachar ki tarah..
Anjane
Ham kyon ban jate hain
Abanchhit.. lagatar
Sud me lagaye gaye dhana ki tarah...


Sachidananda Mishra..
@all rights reserved..

No comments:

Post a Comment