Friday, 14 April 2017

aaogi palki me baith Hindi




aaogi palki me baith



Pau fatne tak
Tum to  kho chuki thi kahin
Jindagi itni asaham kyon ?
Kya ham kho jate hain 
Aise hi dhundhte dhudhte kisiko ?
Kasmen khayi thi tumne
Aaogi palki me baith
Hathon me hogi mehendi ki bhulbhuleya...
Ankhon me bharogi mera sare rang indradhanush ka 
Aur dilke dhadkanom mere 
Bhar degi jine ka umang...
Tum to aisi nahin thi Monalisa !
Kab se kasne lag gayi ho
Bekasuron par betahasa tang...
 

Kyon tum mil jate ho 
Har chaurahe pe Monalisa...
Anjane atarkit..
Jagne lagta hai dil me
Jine ka ummid...
Chute hue yadon me fir
Bhar jate hain jagne ka sangeet...
Sundar sa sapnon me dam bhar ke 
Kahan se suru kar deti ho itihas ka..
Ujad chuka hai ab wah bilakhati sitar
shukragujar hun tera ehsaas ka...

By Satchidananda Mishra.


No comments:

Post a Comment